"Aisa to kabhi nahi soncha tha"
Aisa to kabhi nahi socha tha / ki mere ghar ki muder par nahi aayegi suraj ki pahli kiran / ki baadal umad - ghumad kar chale jayenge / vagair barse mere aangan me / ki purva langh jayegi mere ghar ko / vgair chhuye huye / ki Taras jayenge mere kaan / chidiyon ki chahchahaat sun ne ko / aisa to kabhi nahi soncha tha /ki chandani nahi utregi mere aangan me / ki charo or pasra andhera muhn chidhayega / aur meri saansen ruk - ruk jayengi har ek aahat par / poochhegi patni rasoi ghar se / kaun aaya hai / aur mera jawab hoga - kahan hai koi / aisa to kabhi nahi soncha tha / ki samaya itna tang ho jayega / ki rishte kho jayenge usme / ki pita ya maa ya mitra diwas par yaad kiye jayenge rishte / aisa to kabhi nahi soncha tha / ki bhavnaayen virat masheeno ki bali chadh jayengi / aur manushyata karahti firegi / dar- dar thokren khati / Aisa to kabhi nahi soncha tha.

Comments
Post a Comment